Tuesday, February 24, 2009

Hazarat Abul Fazl Abbas



Gulshan ki fizaon me ajab rang e sahar hai
ek jaan e tamana ke jo ane ki khabar hai

wo phool khila hai chaman e murtazawi me
kehte hain jo ZEHRA ki duaoon ka asar hai

Abbas hai naam iska baunwaan e shuja'at
masjood e wafa shehr e mohabbat ka jo dar hai

konain ki ra'naiyaan leti hai balayeen
ye nazish e yusaf bani hashim ka qamar hai

Islam ka gham khwar alamdar e hussaini
har gaam pe shabir ka manzoor e nazar hai

jo naam se ghazi k uthae koi parcham
is mard e mujahid k muqadar me zafar hai

milti hai nishat e qalabi ghazi k dar se
kyun na ho ALI uqda kusha ka ye pisar hai

No comments:

Post a Comment